Muhammad (SAW) Ka Pehla Safar
PEHLA SAFAR AUR BUHEERA SE MULAQAT Jab Muhammad (SAW) ki umar 12 13 sal thi. Chunanche Abu Talib tijarat ke silsile me sham ke safar ki tayari karrahe the. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne bhi israr kiya aur is safar me in ke sath shamil hue. Jab Abu Talib ka qafila Hijaz se guzar kar…
PEHLA SAFAR AUR BUHEERA SE MULAQAT
Jab Muhammad (SAW) ki umar 12 13 sal thi. Chunanche Abu Talib tijarat ke silsile me sham ke safar ki tayari karrahe the. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne bhi israr kiya aur is safar me in ke sath shamil hue.
Jab Abu Talib ka qafila Hijaz se guzar kar mulk Sham me dakhil hua. Chunanche qafile ne hasb mamool aik jagah aik darakht ke niche padao dala. Is jagah ke qareeb aik Esayi alim ki ibadat gah thi. Is ne kabhi kisi ke aane jane par tawajeh nahi di. Lekin is din is ne dekha ke qafila utarne ke baad darkht ki shakhe jhuk gayi.
Aur badal ka aik tukda suraj aur Muhammad (SAW) ke darmiyan hai aur suraj ko Muhammad (SAW) se rok raha hai. Is tarah Yahudi aur Esayi ulama akhri zamane ke Nabi ki fitrat aur Aap ke zuhoor ki tamam alamat se waqif the. Jaisa ke aik bap apne bache ko janta hai.
QAFILE KI DAWAT
In halat ko dekh kar Esayi alim ki tawajeh Muhammad (SAW) ki taraf ho gayi. Is ne apne nokar se kaha ke jaldi se khane pine ka bandobast karde, aur qafile ko bulaya.Ye log bahut heran hue kyunke aisa pehle kabhi nahi hua tha. Taham, in logo ne dawat qubool karli.
Aur jab wo raheb ke ghar jane lage to unho ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko in ki kam umri ki wajah se apne sath le jana munasib na samajha aur Aap ko saman ke sath wahi chod diya. Jab sab log jama ho gaye to raheb ne aik nazar in par dali. Is ne in logo me wo khas alamat nahi dekhi jo us jagah dekhi gayi thi. To pucha ke koi admi baqi nahi raha?
Unhone kaha: hamare sath aik chota bacha tha, ham ise wahi chod aaye hai, baqi sab yaha hai.Raheb ne kaha. Ke bacha bhi dawat me shareek ho. To Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne bhi shirkat ki. Jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam tashreef laye.
Chunanche is Esayi alim ne bar bar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko dekha, qareeb se dekha, inki ankhon me ghor kiya, pusht par “Mohre Nabuwat” ko dekha.
RAHEB KE SAWALAT
Khane ke baad is ne mazid itmenan ke liye Muhammad sallallahu alaihi wasallam se kaha. Mai tum se kuch puchunga. Mujhe sahih jawab do. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. Jo chaho pucho isne Aap ke khane, sone aur jagne ki aadat ke bare me kuch sawalat puche.
Aap sallallahu alaihi wasallam ne in sab ka jawab diya. To ise yaqin hogaya ke Aap Allah ke akhri Nabi hai. Jis ki itla har Nabi ne di hai. Aur Ulama sadiyo se intezar karrahe hai. Is ke baad isne Abu Talib se pucha. Ye bacha kis ka hai?
Unhone kaha mera beta hai. Raheb ne kaha ye ghalat hai. Kyunke mere ilm ke mutabiq iske walid iski paidaish se pehle fot ho chuke honge. Phir abu talib ne kaha ha ye mera bhatija hai. Aur iske walid ka inteqal hogaya hai. Isne inse kaha ke wo inhe aage na le jaye.
Abu Talib ne raheb ki baat ki roshni me ise munasib samjha. Ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko safar par na le jaya jaye. Chunanche Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko raste me kisi ke sath Makkah wapas bhej diya gaya.
SADIQ AUR AMIN
Jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki umar 14 15 sal thi. Chunanche aam logo se lain dain aur mail jol ahista ahista hone laga. Log Aap sallallahu alaihi wasallam ki taraf dekhte the aur Aap ki aadat wo atwar ki khas shan dekhte the.
Ahle Makkah sachchayi, muamilat ki safai, diyanat, narmi, yatimo par shafaqat, padosiyo ka ehteram aur insani hamdardi ki sifat se bahut mutasir the. Wo Aap ko Muhammad kehne ke bajaye Aap ko sadiq aur amin ke laqbo se yaad karte the, yane sachcha aur achcha.
NASTOURA RAHEB
Satra sal ki umar me Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne Abu Talib ki ijazat se karobar shuru kiya. Safar ke douran jab Rasoolull sallallahu alaihi wasallam mulk sham ke shaher basra me pahunche to aaram keliye aik sayedar darakht ke niche baith gaye. Waha aik raheb “Nastoura” rehta tha. Wo Rasoolull sallallahu alaihi wasallam ki khidmat me hazir hua.
Aur farmaya ke Essa bin Maryam se lekar aaj tak is darakht ke niche Aap ke siwa koi Nabi nahi utra. Kyunke is darakht ke niche Anbiya ke alawa koi nahi rehta. Phir isne Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko bahut qareeb se dekha. Aap sallallahu alaihi wasallam ki ankhon ki surkhi dekhkar farmaya ke ye wohi Nabi hai, ye akhri Nabi hai.
GHAR HIRA
Jaise Ba’sat ka zamana qareeb araha tha. Tanhai Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki sahet par ziyada se ziyada ghalib hoti jarahi thi. Aik ajib si becheni thi jo door nahi horhi thi. In dino me Muhammad sallallahu alaihi wasallam ache khab dekhte the. Aur jo khab me dekhte the wohi bedari me paate the.
Ye muddat Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Jabal Noor ke ghar Hira me guzari. Is ghar se Kaaba ko bilkul samne dekha jasakta tha. Waha Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Allah ke zikar aur is ki Ibadat me mashghul rehte the. Ye amal 3 sal tak jari raha.
Is se pehle ka waqia padhne keliye yaha click kare