Allah Ka Zikr
Zikr Ki Ahmiyat Allah Ta’ala ne insan ko aqal aur samajh ata ki hai. Tamam aaza aur quwate jaise hath aur paon ko aik khas andaz me rakha. Iman wo kufr aur kher wo shar ki samajh ata ki. Allah Ta’ala ne insan me zahiri aur batini khubiya jama ki hai. Agar insan chahe to…
Zikr Ki Ahmiyat
Allah Ta’ala ne insan ko aqal aur samajh ata ki hai. Tamam aaza aur quwate jaise hath aur paon ko aik khas andaz me rakha. Iman wo kufr aur kher wo shar ki samajh ata ki. Allah Ta’ala ne insan me zahiri aur batini khubiya jama ki hai. Agar insan chahe to neki me taraqi karega aur bahut aage jayega.
Zikr Ki Fazilat
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: tumhare aamal me sabse behtar, tumhare Rab ke nazdeek sabse zyada pakiza, wo amal jo tumhare darjat ko buland kare, Allah ka Zikr hai. Jo Allah ka Zikr karta hai uske dil ko sukun milta hai. Aur wo Allah Ta’ala ki hifazat me aata hai. Insan ko waqt ki qadar karni chahiye. Aur zindagi ke qeemti lamhaat ko nazar andaz na kya jaye. Jannat me jane ke baad ahle jannat is duniya me Allah ke zikr ke bagher guzre hue waqt par pachta yenge. Jo log khade, baithe ya laite har haal me Allah ko yaad karte hai, is zikr ki barkat se Allah Ta’ala inhe Jannat ke aala darjat tak pahuncha deta hai. Jo nek raste par chalta hai Allah iske liye neki ka rasta asan kar deta hai.
Allah Ka Farman
Allah Ta’ala ka irshad hai ke jab banda mujhe yaad karta hai to mai iske sath hota hu. Agar wo mujhe apne dil me yaad karta hai to mai bhi use apne dil me yaad karta hu. Agar wo kisi jamat me mera zikr karta hai to mai isse behtar jamat me iska zikr karta hu, yane Farishton ki jamat me. Banda nek aamal ke zariye mere jitne qarib hota hai, itna hi mai apni rahmat aur madad se iski taraf ruju karta hu. Shetan poshida reh kar insan ko behkata hai. Jab banda Allah ki yaad se ghafil rehta hai to shetan ka ghulba badh jata hai. Jab banda Allah ko yaad karta hai to foran piche hat jata hai.
Tauba
Allah marte dam tak banday ki tauba qabool karta hai, Allah us bande se razi hota hai jo khane aur pani ka shukr ada karta hai. Allah raat bhar apni rehmat ka hath phelata hai. Take din ka gunehgar raat ko tauba kare. Aur din bhar rehmat ka hath badhata hai. Take raat ka gunehgar din ko tauba kare. Aur ye is waqt tak jari rahega jab tak Suraj magrib se tulu na ho, iske baad uski tauba qubool na hogi.
Istighfar
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: jo shaks ye chahta hai ke iska amal ise Qayamat ke din khush rakhe to use chahiye ke kasrat se Istighfar kare. Astagfirullah Rabbi min kulli zambiyon wa atubu ilaih.
Afzal Zikr
Tamam Zikr me sabse afzal zikr La ilaha illallah hai. Aur tamam Duaon me sabse afzal dua Alhamdulillah hai.
Kalima
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Meri shifat se sab se zyada faida uthane wala wo hoga jo apne dil ke Ikhlas se La ilaha illallah kahe. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: mai aik aisa kalima janta hu jise wo shakhs padhe jis ki mout ka waqt qareeb ho to iski ruh ko jisam se nikalte waqt is kalime se zarur sukun milega. Aur ye kalima Qayamat ke din Noor hoga, wo kalma La ilaha illallah hai.
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Subhanallahi wa bihamdihi
padhne wale ke liye Jannat me Khajoor ka aik darakh lagaya jata hai. Subhanallah walhamdulillah wala ilaha illallah wallahu Akbar
kehne se gunah aise jhadte hai jaise sardiyo me darakht se patte girte hai.
Durood Sharif
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo meri ummat me se mujh par sachche dil se durood bheje. Allah Ta’ala ispar 10 rahmate najil farmayege. Allah iske 10 darje buland karega. Aur iske 10 nekiya likhi jayengi. Aur 10 gunah mit jayenge. Allahumma salli ala sayyidina wa maulana Muhammadin wa aala alihi wa sahbihi wa barik wa salim.
Durood e Ibrahim
2 kalime aise hai jo Allah ko bahut pyari hai. Zaban par bahut halka aur tarazu par bahut bhari. Wo Kalimat hai Subhanallahi wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem.
Meraj ki raat jab Muhammad sallallahu alaihi wasallam Hazrat Ibrahim alaihis salam ke pass se guzre to Hazrat Ibrahim alaihis salam ne pucha. Jibriel ye tumhare sath kon hai? Jibriel ne kaha Muhammad sallallahu alaihi wasallam hai. Ibrahim alaihis salam ne farmaya: apni ummat se kaho ke Jannat me zyada paude lagaye kyunke Jannat ki mitti achchi hai. Aur iski zameen kushada hai. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne pucha ke Jannat ka pauda kya hai? Hazrat Ibrahim alaihis salam ne farmaya. La hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azeem.
For English click here