Tajweed Ki Ahmiyat Aur Fazilat

TAJWEED SE QURAN PADHNA KYUN ZARURI HAI? Allah Ta’ala ki ata ki hui be-shumar niamaton me se aik niamat uska Azeem-ush-Shan Kalaam Quran-E-Majeed hai. Jo us ne apne aakhri Nabi Muhammed Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam par apne bandon ki rahnumayi keliye na sirf nazil kya balke apne lutf-o-karam se qiyamat tak ke liye usko mehfooz…

Tajweed ki ahmiyat

TAJWEED SE QURAN PADHNA KYUN ZARURI HAI?

Allah Ta’ala ki ata ki hui be-shumar niamaton me se aik niamat uska Azeem-ush-Shan Kalaam Quran-E-Majeed hai. Jo us ne apne aakhri Nabi Muhammed Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam par apne bandon ki rahnumayi keliye na sirf nazil kya balke apne lutf-o-karam se qiyamat tak ke liye usko mehfooz bhi kardiya.

Ham par zaruri hai ke ham apne parwardigar ki is Azeem-ush-Shan niamat ka shukar ada karne ke liye ham Quran-E-Majeed ko sahih taur par tajweed ke saath padhe. Aur Quran-E-Majeed ke ma’ane me ghaur-o-fikr karen aur apni zindagi ko Quran ke ahkaam ke mutabiq guzaren.

TAJWEED KI AHMIYAT QURAN-E-MAJEED ME

Ilm-E-Tajweed ki is se badhkar aur kya fazilat hosakti hai ke Allah Ta’ala ne is ke baare me Quran me saaf taur par farmaya. Quran me Allah Ta’ala farmate hai:

ٱلَّذِينَ ءَاتَيْنَـٰهُمُ ٱلْكِتَـٰبَ يَتْلُونَهُۥ حَقَّ تِلَاوَتِهِۦٓ أُو۟لَـٰٓئِكَ يُؤْمِنُونَ بِهِۦ ۗ وَمَن يَكْفُرْ بِهِۦ فَأُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْخَـٰسِرُونَ(سورة البقرة:١٢١)

Jin logon ko ham ne kitab ata farmayi hai wo use us tarah padhte hain jaisa ke us ke padhne ka haq hai. Wahi log us par imaan late hai, aur jo uske saath kufr kare to wahi log nuqsaan uthane wale hain. (Surah Al Baqarah:121)

Aur aik jagah Quran me Allah Tabarak wa Ta’ala farmate hain:

وَقُرْآنًا فَرَقْنَاهُ لِتَقْرَأَهُ عَلَى النَّاسِ عَلَىٰ مُكْثٍ وَنَزَّلْنَاهُ تَنزِيلًا (سورة الاسراء:١٠٢)

Aur ham ne is Quran-E-Majeed ke juda juda hisse banaye, take Aap (SAW) thahar thahar kar ise logon ko sunate jayen, aur ham ne ise thoda thoda karke nazil Kiya. (Surah Isra:106)

TAJWEED KI FAZILAT HUZOOR (SAW) AUR SAHABA (RZA) SE

Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai:

إِن الله تعالٰى يُحب أن يُقْرَأَ القرآن كما أُنْزِلَ

Allah Ta’ala ko ye baat pasand hai ke Quran-E-Majeed ko usi tarah padhe jis tarah wo nazil hua hai.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye bhi irshad hai ke: Jo shakhs Quran-E-Majeed ko khush-ul-hani (apni awaz ko sanwar kar) se na padhe wo ham mein se nahin.

Musa bin Yazid Al-Kindi (RAH) waqia bayan karte hain ke Hazrat Abdullah bin Mas’ud (RZA) Aik shakhs ko Quran-E-Majeed padha rahe the. Us ne jab

إِنَّمَا ٱلصَّدَقَـٰتُ لِلْفُقَرَآءِ وَٱلْمَسَـٰكِينِ

padha to be parwayi se (baghair madd ke) padh diya. Hazrat Ibn Mas’ud (RZA) ne farmaya mujhe Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne is tarah nahi padhaya tha! Us shakhs ne pocha: phir kaise padhaya tha aap ko? Hazrat Ibn Mas’ud (RZA) ne yahi ayat madd ke saath padhi aur phir farmaya: is tarah padhaya tha.

TAJWEED KI AHMIYAT ULAMA SE

Imam Shamsuddin Ibn-Ul-Jazari apni kitab Al Muqaddimah Al Jazariyyah me likhte hain.

اَلْأَخْذُ بِالتَّجْوِيْدِ حَتْمٌ لَازِمُ.

مَنْ لَّمْ يُجَوِّد الْقُرْآنَ آثمُ.

لِأَنَّه بِهِ الْإِلٰهُ أنزَلَا.

وَهٰكَذَا مِنْهُ إِلَيْنَا وَصَلَا.

Tajweed ka seekhna aur uski ri’ayat karna zaruri aur lazim hai. Jo shakhs Quran-E-Majeed ko tajweed se nahin padhta wo gunahgar hai. Isliye ke Allah Ta’ala ne ise tajweed hi ke saath nazil farmaya hai. Aur isi tarah (Tarteel-o-Tajweed hi ke saath) ham tak pahuncha hai.

Shaikh Ali bin Sabra farmate hai ke tajweed ka chod dena haraam hai. Iska seekhna farz-e-ain hai, isliye ke ye “taufeeqi” hai. Isme Kami beshi ki gunjaish nahin hai.

Aur jo shakhs Quran-E-Majeed ko us tariqe par nahi padhega jis tarah wo Allah Ta’ala ke yahan se nazil hua hai. To wo Allah Ta’ala ki aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki mukhalifat karega. Aur Zahir hai ke unki mukhalifat karne wala gunahgar hai.

is se ye baat bhi puri tarah wazah hogayi ke Quran-E-Majeed ko tajweed se padhna har us padhne Wale mard-o-aurat ke upar wajib hai. Jis par ahkam-e-shariyat lazim hote hain. Padhne Wala jab uski ri’ayat karte hue padhega to ajr-o-sawab ka haqdar hoga, aur use tark kardega to gunahgar hoga.

Isliye ke Quran-E-Majeed Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam par bhi tajweed ke saath hi nazil hua tha. Aur isi tarah tajweed ke saath hi ham tak tawatur ke saath pahuncha hai.

TAJWEED KYUN ZARURI HAI

Tajweed ke bare me ulama ne likha hai ke tajweed ka seekhna wajib hai. Kyunke agar ilm-e-tajweed na seekha to phir huroof ki adayegi galat hogi. Jis ki wajah se ma’ane badal jayenge aur kabhi kabhi ma’ane itne badal jate hai ke bilkul ulta ban jata hai. Aur kabhi bilkul kufriya ma’ane ban jate hain.

KUCH BADI GALTIYAN

1. اَلْحَمْدُلِلّٰهِ رَبِّ الْعَالَمِيْن me الحَمد ki jagah الهَمد padhne se Allah Ta’ala ki ta’areef ke bajaye bure ma’ane hojate hai.

2. اَنْعَمْتَ me”Taa” par zabar ke bajaye zer ya pesh padhne se ma’ane badal jate hai.

3. Surah kafiroon me لَااَعْبُد me “Laam” ko jaldi padhne se (معاذالله) kufriya ma’ane hojayenge aur padhne wala ghunahghar hoga.

4. Surah nasr me نَصْرُاللّٰهِ me “ص” ki jagah “س” padhne se pure ma’ane ghalat hojate hai. نَصر ke ma’ane madad ke hai aur نسر ke ma’ane gidh ke hai.

Un sab baton se ye maloom hota hai ke har musalman ko tajweed ke sath Quran padhna zaruri hai.

[hubspot type=”form” portal=”23964821″ id=”206fe775-2e2d-4993-9743-94d2ce6a12f1″]

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *