Namaz
Namaz jismani aur rohani ibadat me sab se badi cheez hai. Namaz me Allah ke samne khade hote hai. Aur Allah ke darwaze par wiqar ke sath Namaz me hazir hona. Allah Ta’ala hamara khada hona, baithna, Ruku aur Sajda nahi dekhta. Wo hamare dilon ko dekhta hai. Unme khulus aur aajizi ka rang kaha…
Namaz jismani aur rohani ibadat me sab se badi cheez hai. Namaz me Allah ke samne khade hote hai. Aur Allah ke darwaze par wiqar ke sath Namaz me hazir hona. Allah Ta’ala hamara khada hona, baithna, Ruku aur Sajda nahi dekhta. Wo hamare dilon ko dekhta hai. Unme khulus aur aajizi ka rang kaha tak hai? Insan ke tamam ikhtiyarat Allah ki amanat hai. Inhe in mawaque par kharch kya jaye jin ka Allah ne zikr kya hai. Sab se badi falah aur kamiyabi in Momineen ko hasil hogi jo Khushu o Khuzu ke sath Namaz padhte hai.
Khushu Kya Hai
Khushu ka matlab hai kisi ke samne khof aur aajizi ke sath khamosh rehna. Asal khushu dil ka hota hai. Jab dil ajizi aur namaz me pur sukun ho. Idhar udhar nahi bhatkay ga, namaz me rahega. Aur namaz ke auqat, shar’i aur aadab se aagah rahe. Allah Ta’ala ke nazdeek Namaz ka bada darja hai. Namaz Allah ki behtareen Ibadat hai.
Miraj Me Allah Ke Darbar Me Haziri
Miraj ki raat Muhammad sallallahu alaihi wasallam saatwe aasman par Baitul mamur me dakhil hue, aur do rakat namaz ada ki. Iske baad Muhammad sallallahu alaihi wasallam Sidratul Muntaha pahunche. Aur wahan pahunch kar Hazrat Jibreel alaihis salam ne farmaya ke meri is jagah tak rasai hai. Mujh me mazid aage jane ki taqat nahi hai. Kyunki mai Allah Ta’ala ka zuhoor bardasht nahi karsakta, aap yaha se akele chale jayenge. Is wajah se Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam akele hi aage badhe. Aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Qurb ILahi ke tamam darjat par fa’iz hokar Arsh Aazam par pahunche. Muhammad sallallahu alaihi wasallam bargah ILahi me hazir hue. Aur Allah ki Bargah me izzat hasil ki.
Miraj Me Namaz Ka Tohfa
Allah Ta’ala ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam se jo chaha kalam kiya. Miraj ki raat Allah Ta’ala ne Muhammad sallallahu alaihi wasallam aur unki Ummat par mukhtalif nemate ata ki. In nemato me se behtreen nemat Namaz hai.
Ikhlas
Banda har haal me Sajde me Allah ke zyada qareeb hota hai. Jin ke amaal wazni honge wo Qayamat ke din sukun me honge. Aur amaal ka wazan Ikhlas aur Iman par hoga. Amal kitna hi bada kyun na ho, Ikhlas ke bagher Allah ke nazdeek iska koi wazan nahi. Hazrat Maaz bin jabal raziyallahu anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne mera hath pakda aur farmaya. Mai tumhe nasihat karta hu ke kisi bhi namaz ke baad ise padhna band na karo.
Namaz Dua Aur Tauba Ki Qubuooliyat Ka Zariya Hai
Muhammad sallallahu alaihi wasallam se pucha gaya ke kon se waqt ki Dua sab se zyada qubool hoti hai? Aap ne farmaya: raat ke aakhri hisse me aur Farz namazo ke baad. Wo shakhs jo achi tarah wuzu karta hai aur 2 ya 4 rakate padhta hai, in me achi tarah Ruku karta hai aur Khushu ki Namaz padhta hai. Phir agar wo Allah se maafi mangega to use bakhsh diya jaye ga.
Khuzu Kya Hai
Khuzu ka matlab ye hai ke nigahe khade hote waqt Sajde ki jagah par, Ruku ke waqt ungliyon par, Sajde me nak par aur attahiyat ke waqt gud par ho. Allah ki Ibadat is tarah karo jaise tum use dekh rahe ho aur agar nahi to samjho ke Allah tumhe dekh raha hai. Insan ki asal zindagi akhirat hai. Akhirat ki zindagi ke muqable me duniya ki zindagi aik khwab se zyada kuch nahi. Khush naseeb hai wo log jo achche muaqe se faida uthate hai aur akhirat ki zindagi ko sawarne ki koshish karte hai.
Namaz Ke Baad Ayatul kursi Padhna
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: sirf maut ise jannat me jane se rokti hai jab wo farz Namaz ke baad Ayatul kursi Padhe.
Aik riwayat me Ayatul kursi ke sath Surah Ikhlas padhne ka bhi zikr hai.
Allah Ta’ala Qayamat ke din Farz namazo ki kami ko sunnato aur nawafil se pura karega. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: musalman Witr padho kyunke Allah Ta’ala witr padhna pasand karta hai.
Fajar Ki 2 Rakat Sunnat
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne Fajar ki do rakat sunnat ke bare me farmaya ke ye do rakate mujhe sari duniya se zyada mehboob hai. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: jab tum wuzu karo to Bismillah Walhamdu Lillah kaho. Iska asar ye hoga ke jab tak tumhara wuzu baqi rahe ga. Aap ke nigehbaan Farishte aap ke liye nek amaal likhte rahenge.
Baitul Mamur
Kaaba Makkah Mukarramah me Allah ka pehla ghar hai. Jo duniya ke tamam Musalmano ka Qibla hai. Yane duniya ke tamam Musalman iski taraf mutawajjah hote hai aur din me panch waqt Namaz padhte hai. Saat Aasmano ke upar Khana Kaba ki smit Baitul Mamur hai. Jo Asman par Farishton ka Qibla hai. Ye Kaba ke bilkul upar hai. Farishte isme ya iski taraf Namaz padhte hai aur iska Tawaf karte hai. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: apne bacho ko Namaz ka hukm do, aur 10 sal ki umar me Namaz na padhne par maaro.
For English click here