Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Birth
WILADAT E RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SE PEHLE Cheti sadi eswi me ye duniya inteha tareek dor se guzer rahi thi. Wo Allah ko bilkul bhul chuke the. But parasti aam ho chuki thi. Insaniyat ka naam wo nishan bhi mitaya jaraha tha. Puri qaum sareeh gumrahi me bhatak rahi thi. Taqat war kamzoro par…
WILADAT E RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SE PEHLE
Cheti sadi eswi me ye duniya inteha tareek dor se guzer rahi thi. Wo Allah ko bilkul bhul chuke the. But parasti aam ho chuki thi. Insaniyat ka naam wo nishan bhi mitaya jaraha tha. Puri qaum sareeh gumrahi me bhatak rahi thi. Taqat war kamzoro par hukumat karrahe the.
Khayali tasveer o aur janwaro ki pratish ki jati thi. Ladki ko zinda dafan karna, qafile ko lutna, be gunaho ko marna in ka mashghla ban chuka tha. Jab duniya ke halaat din ba din kharab hote jarahe the. To Allah Ta’ala ne apne bando ko sidha rasta dikhane ke liye akhri Nabi bhejne ka faisla kiya.
MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI PAIDAISH
Makkah me abraha ka mashhur waqia pachas din baad. 12/ Rabi Al- Awwal peer ki subah Sadiq ke waqt Tulu aftab se pehle. Muhammad sallallahu alaihi wasallam apni tamam khubi yo ke sath is duniya me tashreef laye. Duniya ki tariki roshni me badal gayi.
Bhatakti hui insaniyat ko aik behtreen rehnuma mila. Kaha jata hai ke subah Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui. Isi raat kisra ke mahel me zalzala aaya. Aur is ke mahel ke 14 kone gir gaye. Kisra Iran ke badsha ka laqab tha. Naher sawah sukh gyi. Ye Iran me aik naher ka naam hai. Irani aag ke parastar the.
Yane aag ki puja karte the. Waha aik khandaq banai gyi thi. Jis me 1000 sal tak aag jalti rahi aur kabhi bujhayi na gyi. Jis raat Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam duniya me tashreef laye. Aap Sallallahu alaihi wasallam ki barkat se ye aag hamesha keliye bujh gyi.
ISME GRAMI
Aap ki Walda Aap ka naam Ahmed sallallahu alaihi wasallam rakha. Jab Aap ke Dada ne Aap ke bare me suna. Chunan che wo bhi khushi ke aalam me Amina ke ghar pahunche. Aur apne pote ko gud me lekar Haram pahunch gaye. Khana Kaaba me dakhil hue aur Allah ka shukr ada kiya. Aur sat we din aqiqa karke Muhammad naam tajwiz kya.
MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI WALIDAH
Amina Quraysh khandan ki aik sharif aur khush akhlaq Khatoon thi. Inka silsila nasab Muhammad (SAW) ke par dada “Fahar” se jamilta hai. Fahar ka laqab Quraysh tha. Isi liye Aap sallallahu alaihi wasallam ko Qureshi kaha jata hai. Amina bhi Qureshi thi.
MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE WALID
Aap sallallahu alaihi wasallam ke walid Abdullah Aap Sallallahu alaihi wasallam ke dada Abdul Muttalib ke sab se chute bete the. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke walid Abdullah ko ma’ashire me bahut muaziz aur naik samjha jata tha.
Abdul Muttalib ne apne bete ko tijarti safar par bheja. Wapisi par Madinah pahunch kar bimar pad gye. Aur Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki paidaish se pehle hi in ka inteqal ho gaya. Aap sallallahu alaihi wasallam ke dada Abdul Muttalib ahle Makkah ke sardar the.
SHAQ SADR KA WAQIYA
Aik dafa Muhammed Sallallahu alaihi wasallam baccho ke sath khelne me masruf the. Ke achanak safed kapdo me malbus 2 fareshte aaye. Unho ne Aap ko lita kar Aap ka sina chak kya aur dil nikala. Phir ise Zamzam ke pani se dhokar is ki jagah rakh diya. Aur sina barabar kar diya.
AMENA KA INTEQAL
Jab Mohammed sallallahu alaihi wasallam ki umar 6 sal thi. To Amina Aap sallallahu alaihi wasallam ko Madina le gayi. Jise us zamane me Yasrab kaha jata tha.kuch din apne ghar rehne ke baad wapis arahi thi.
Chunanche Madinah aur Makkah ke darmiyan muqam “Abwa” pahunch kar safar ke doran bimar ho gayi aur wahi inteqal kargayi.Umm Ayman Mohammed Sallallahu alaihi wasallam ke sath Makkah pohchi aur Aap sallallahu alaihi wasallam ko dada Abdul Muttalib ke pass bhej diya.
DADA KA INTEQAL
Phir jab Muhammad Sallallahu alaihi wasallam 8 sal ke the. To dada ka saya bhi sar se uth gaya.Wafat ke waqt Abdul Muttalib ne Mohammed sallallahu alaihi wasallam ko Abu Talib ke hawale kiya aur Aap ke liye khususi wasiyat ki. Ke wo Aap ka khas khayal rakhe.Apne Dada ke baad Aap sallallahu alaihi wasallam apne chacha Abu Talib ke sath rehne lage.
TALEEM AUR TARBIYAT
Mohammed sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. Ke meri tarbiyat mere Rab ne farmayi hai. Aur mere Rab ne mujhe taleem di hai. Aur mujhe bahut aala taleem di hai.Makkah Mukarrama me shadi biyah me gaane bajane ka riwaj tha. Muhammad sallallahu alaihi wasallam bhi is me shirkat karna chahte the aur dekhna chahte the ke kiya hota hai.
Laikin jab ye program shuru hua to Aap allallahu alaihi wasallam is qadar soye hue the ke Aap ko kuch malum na tha. Jab Aap sallallahu alaihi wasallam bedar hue to jamat khatam ho chuki thi aur subah ho chuki thi. Ye sab Allah Ta’ala ki tarbiyat ki barkat thi.
Iske aage padhne ke liye click kare