Quran Sharif

Quran Sharif aik aise laa mehdud samander ki manind hai, jis ka na koi kinara hai aur na koi had. Yehi wajeh hai ke is Ummat ko Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke baad kisi aur Nabi ki zarurat nahi. Pehli Ummato ke liye har daur me koi na koi Nabi aaye aur apni kitabon ke…

Quran Sharif

Quran Sharif aik aise laa mehdud samander ki manind hai, jis ka na koi kinara hai aur na koi had. Yehi wajeh hai ke is Ummat ko Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke baad kisi aur Nabi ki zarurat nahi. Pehli Ummato ke liye har daur me koi na koi Nabi aaye aur apni kitabon ke zariye in ki rehnumayi ki.

Tourat ki hifazat ki zimmedari in logo ke zimme thi. Anbiya Alaihis salam ke baad Taurat me tabdili aayi. Quran Sharif is Ummat ki rehnumayi ke liye nazil hua hai. Allah Ta’ala ne Quran Sharif ki hifazat ka zimma liya hai.

QURAN PAK DIL KA SUKOON HAI

Quran ki tilawat se dil ko sukoon milta hai, rooh ko tazgi milti hai. Rahmat nazil hoti hai aur tilawat karne walo ko Farishte gher lete hai.

Quran Qayamat ke din apne padhne walo ki sifarish karega. quran jis ki shifaat karta hai is ki shifaat qubool hoti hai. quran apne qariyo ke darjat buland karne aur unhe jannat me pohchane ke liye Allah ki bargah me behes karta hai.

QURAN KI TILAWAT KE AADAB

Tilawat Quran Pak se pehle wuzu kare, Quran ko kisi unchi cheez par rakhe, tilawat ke bich me kisi se baat na kare. Agar koi zaruri baat ho to Quran band karke baat kare. Is ke baad Tawuz padh kar shuru kare.

Ayat Sajda tilawat par Sajda karna chahiye. Buland awaz se tilawat afzal hai. Agar kisi ko takleef pahunchne ka dar ho to ahista padhe.

TAJWEED SE QURAN SHARIF PADHNA

Quran Sharif Tajweed ke sath Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam par nazil hua. Allah Ta’ala ko ye pasand hai ke Quran jis tarah nazil hua hai isi tarah padha jaye.

Allah Ta’ala farmate hai ke agar ham ye Quran kisi Pahad par nazil karte to tum dekhte ke Allah Ta’ala ke khauf se reza reza ho chuka hota. Aur ham ye misal e logo ke samne bayan karte hai take wo apni zindagi aur amaal par ghor kare.

Quran ko thoda padhna lekin Tajweed aur samajh ke sath padhna bagher Tajweed ke ziyada Quran padhne se behtar hai. Kyun ke Allah Ta’ala ne ghor-o-fikar ko bahut ahmiyat di hai. Ye Allah Ta’ala ki Sunnat hai ke wo mangne par deta hai. Aur talab Allah ke nazdik bahut qimti hai.

KHATME QURAN

Jo shakhs din ke shuru me Quran Pak khatam karta hai. Allah ke Farishte sham tak is ke liye rehmat aur maghfirat ki Dua karte hai.

Aur jo din ke akhir me khatam karta hai is ke liye Farishte subah tak rehmat aur maghfirat ki Dua karte rahte hai.

HAZRAT UMAR (RZA) KA QISSA

Jab Quran nazil hua to sunne wale Arab the. Quran Arbo ki madri zuban me nazil hua. Islam lane se pehle Hazrat Umar Raziyallahu anhu Musalmano ko takleef dete the. Aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko qatal karne ki koshish karte the.

Aik din Kuffar ne aik kameti banayi aur mashora diya ke koi Muhammad ko qatal kare. Umar (RZA) ne kaha mai karunga. Logo ne kaha ke Aap ye zarur karsakte hai.

Umar (RZA) talwar latka ye uthe aur chale gaye. Isi fikar ke sath jate hue Hazrat Saad bin abi waqqas Raziyallahu anhu in se mile aur pucha ke Umar kaha jarahe ho ? Unho ne kaha ke mujhe Muhammad ke qatal ki fikar hai, (Nauzubillah).

Saad ne kaha ke tum Banu Hashim aur Banu Zahra aur Banu abde Munaf se kaise mutmain ho sakte ho, wo tumhe badle me qatal kar denge. Is jawab par wo ghusse me agay aur bole lagta hai tum bhi be deen hogaye ho (yane Musalman) hogaye ho.

Unho ne talwar uthayi aur kaha ke pehle tujhe qatal karunga. Aur Saad Raziyallahu anhu ne bhi kaha ke ha mai Musalman hogaya hu aur talwar leli. Dono taraf se talwar aane hi wali thi ke Saad (RZA) ne kaha. Ke pehle apne ghar ki khabar lo, tumhari bahen aur behnoi dono Musalman ho gaye hai.

HAZRAT UMAR (RZA) BEHEN KE GHAR

Ye sunkar wo gusse se bhar gaye aur seedha behen ke ghar chale gaye. Waha Khabab Raziyallahu Anhu shohar biwi dono ko Quran Kareem ki taleem de rahe the. Umar ki awaz par Hazrat Khabab (RZA) jaldi se andar chup gaye aur jis Sahifa par Qurani Aayat likhi hui thi wo baher reh gaya.

Behen ne darwaza khola to Umar ke hath me kuch tha jo unho ne behen ke sar par mara jis se sar se khoon behne laga. Aur kaha ke tum bhi be deen hogaye ho. Is ke baad ghar me aaye aur pucha ke kiya karrahe the. Aur awaz kis ki thi.

Behnoi ne kaha ke baat karrahe the. Kehne lage Kiya tum ne apna mazhab chod kar koi aur Mazhab ekhtiyar kiya hai? Behnoi ne kaha ke agar dusra Mazhab saccha hai to. Ye sunna tha ke un ki pitayi shuru kar di. Behen ne kaha ke yaqin an ham Musalman ho gaye hai jo karsakte ho karlo.

UMAR (RZA) ISLAM KI TARAF MUTAWAJJAH HUE

Is ke baad Umar Raziyallahu anhu ki nazar is sahife par padi jo jald bazi me chod diya gaya tha aur aap ka ghussa bhi thanda ho gaya. Unho ne kaha acha mujhe dikhao ye kya hai.

Behen ne kaha ke tum napak ho aur napak hath is ko chu nahi sakte. Unho ne bahut israr kya lekin wo baghair wuzu aur ghusl ke tayar na thi. Umar (RZA) ne ghusl kiya. Ye Sahifa Surah Ta’ha par mush tamil tha. Surah Ta’ha ki tilawat shuru ki.

Quran Kareem padh kar Umar Raziyallahu anhu ka dil bahut mutasir hua. Aur wo Islam ki taraf mail ho gaye. Khabab Raziyallahu anhu jo chupe hue the baher aaye aur khush khabri sunayi ke kal hi Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne tumhari Hidayat ki Dua ki thi.

UMAR (RZA) KA ISLAM

Chuna Cha In logo ke sath Umar (RZA) Darul Arqam pohche jaha Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam aur Sahaba Karaam Raziyallahu anhum mojood the. Umar (RZA) ke hath me talwar dekh kar sab pareshan ho gaye.

Hamza Raziyallahu anhu ne kaha ke aane do agar wo neki ke irade se aaye hai. To thik hai warna apni hi talwar se maare jayenge. Jab wo Rasoolullah (SAW) ke pas aaye to Aap sallallahu alaihi wasallam ne Aap ki chadar pakad kar apni taraf khinchi aur farmaya ke tumhara kya irada hai?

Unho ne kaha ke Mai Allah, Is ke Rasool aur Is ki Kitab par Iman rakhta hu. Ye sunkar Aap Sallallahu alaihi wasallam ne Takbeer ka nara lagaya aur tamam Musalmano ne bhi aik zuban ho kar Takbeer kahi.

Umar Raziyallahu anhu ke Islam ne Sahaba me khushi ki laher dauda di. Wo sab se pehle apne Islam ka elaan karne wale the. Aur Aap ke qubool Islam ke baad pehli ba jamat Namaz Masjid e Haram me adaa ki gayi. Aur Musalman Masjid e Haram me Namaz padhne Lage.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *