Tajweed Kya Hai Aur Uski Ta’areef
Tajweed se murad wo ilm hai jiske zariye Quran-e-Majeed ki tilawat is tarah karna ke har hurf ko uska haq dete huwe sahi talaffuz aur sahi makhraj ke sath ada kya jaye. Mabadiyat-e-Tajweed (Basics) Mabadiyat (Basics): Wo baaten jo kisi ilm ko padhne se pehle seekhi jaati hai. Aur jin ma’aloomat ke baghair wo ilm…
Tajweed se murad wo ilm hai jiske zariye Quran-e-Majeed ki tilawat is tarah karna ke har hurf ko uska haq dete huwe sahi talaffuz aur sahi makhraj ke sath ada kya jaye.
Mabadiyat-e-Tajweed (Basics)
Mabadiyat (Basics): Wo baaten jo kisi ilm ko padhne se pehle seekhi jaati hai. Aur jin ma’aloomat ke baghair wo ilm mukammal nahi hota, ibtedayi umoor, bunyadi baaten (basics).
Tajweed Kya Hai
Quran-E-Majeed Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se jin kaifiyaat-e-ada ke saath Sahaba tabi’in aur mujawwideen ki zubani manqol hai. Inhi kaifiyaat-e-ada ko Quran-E-Majeed ki istelah me Tajweed kahte hain.
Tajweed Ki Ta’areef
Ulamaa-e-mujawwideen ki istilah me harfon ko apne makharij se nikalna aur unke sifaat, qawa’id aur wuqoof ki ri’ayat ke sath ada karna.
Tajweed Ke Lughwi Ma’ane
Lafz tajweed arabi zaban ke lafz “JAWWADA” se aaya hai. Jiske ma’ane hai khubsurat banana, bahtar banana
Tajweed Ke Istelahi Ma’ane
.هُوَعِلْمٌ يَّبْحَثُ فِيْهِ عَنْ مَخَارِجِ الْحُرُوْفِ وَصِفَاتِهَا وَعَنْ طُرُقِ تَصْحِيْحِ الْحُرُوْفِ وَتَحْسِيْنِهَا Ya’ane “Ilm-E-Tajweed” us ilm ka naam hai jis me huruf ke makharij aur unki sifaat aur huruf ki tashih (sahih ada karne) aur tahseen (khubsurat karne) ke baare me bahes ki jaati hai.
Tajweed se murad wo ilm hai jiske zariye Quran-e-Majeed ki tilawat is tarah karna ke har hurf ko uska haq dete huwe sahi talaffuz aur sahi makhraj ke sath ada kya jaye.
Tajweed Ki Gharz
Ilm-E-Tajweed ki gharz ye hai ke Quran-E-Majeed ko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ke irshad: أِقْرَءُوْا الْقُرْآنَ بِلُحُوْنِ الْعَرَبْ ke mutabiq arabi lab-o-lahja main tajweed ke saath sahih padha jaye. Aur Quran-E-Majeed ki tilawat ke dauran zaban ko ghalti se mahfooz rakhe.
Tajweed Ka Mauzu
Ilm-e-Tajweed ka mauzu alfaaz-e-Quraniyya (Quran ke alfaaz hai) hain (alif se lekar yaa tak tamam huroof jo 29 hai)
Tajweed Ka Faida
Quran-E-Majeed ki tilawat ke dauran zaban ghalti se mahfooz hojati hai jo ajr-o-sawab ka sabab hai. Aur donon jahan ki sa’adat wa kamiyabi, Allah Ta’ala ki khushnodi, jannat mein dakhila ka sabab hai. Aur darjah aur bulandi ka husul, aur aakhirat mein Allah Ta’ala ka deedar naseeb hota hai.
Tajweed Ke Arkaan 4 Hai
1)Tamam huroof ke makharij ka janna.
2)Tamam huroof ki sifaat ka janna.
3)Is baat ka janna ke alfaaz aur huroof ke milne se kya qawaid paida hote hain. (Jaise Izhaar, Ikhfa aur Idghaam ya lafz Allah ka laam kab pur (mota) hoga aur kab barik hoga. Raa kaha pur (moti) hogi aur kaha barik hogi. Ye qawaid in huroof aur alfaaz ke khud apne nahi hain. Balke dusre lafz ya dusre hurf ke milne ya kisi makhsus harkat ki wajah se paida hota hai).
4)Baar baar padh kar aur duhra kar zaban ko in cheezon ki mashq karana aur maharat paida karna. Phir ye bhi zaruri hai ke ye tamam cheezen is fan ke mahir ustad se unki zaban se sunkar unke honton se dekh kar hasil ki jayen. Is ilm ko har baad wale ne apne pehlon se aur aakhir me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam aur Hazrat Jibraiel Alaihis Salam se isi tarah hasil kya hai.
Tajweed Ka Husul Islam Me
Tajweed ke qawaid aur masail ka janna farz-e-kifayah hai. ya’ani 48 mile (77 1⁄4 km) ki had me is ilm ke 1 mahir aalim ka hona zaruri hai. Warna sab ke sab gunahgaar honge.
Tajweed Ke Saath Quran Majeed Padhne Ka Hukum
Quran e Majeed ko sahih taur par padhne ke liye jis qadar qawaid zaruri hain ke uske baghair namaz sahih nahi ho sakti. Un ka janna har musalman baligh mard aur aurat par farz e ain hai.
Allah Ta’ala ka hukum hai: وَرَتِّلِ الْقُرْاٰنَ تَرْتِيِلًا (4:73) Aur Quran e Majeed ko tarteel se khub saaf padha kijiye. Tarteel naam hai Quran majeed ko us tarah padhne ka jis tarah wo nazil hua hai. ba’az log ye samajhte hain ke tajweed ka matlab ye hai ke madd ko mubaligha ke sath kheencha jaaye. Harkaat ka khub izhaar kiya jaye. Aur ye sab wo qiraat ko khushnuma banane keliye karte hain lekin ye ghalat hai.
Asal baat ye hai ke Ummat-e-Muslimah ke har fard ke zimma tajweed (Qira’at) ke ahkam ke mutabiq Quran e Majeed ki tilawat karna farz hai. Aur un qawaid ki riayat na karna lahan hai. Jiski wajah se bahut si jagah par ma’ane aur murad badal jaate hai aur padhne wala gunahgaar hota hai.
Tajweed tamam uloom se Afzal aur ashraf hai. isliye ke iska ta’alluq Kitab-e-Ilaahi aur Kalam-e-Rabbani se hai. Aur iska shumar uloom-e-shari’at me hai. Allah Ta’ala ham sab ko Quran majeed ko sahih taur par padhne ki taufeeq naseeb farmaye. Aur Quran Majeed padhte waqt jo bhi ghaltiyan hui hai unko ma’af farmaye. Ameen.
For English Click Here
MashaAllah u r doing great job. Allah SWT gv u higher rank in this world nd nxt world. Insha Allah I will start learning tajweed from today,your teaching methodology is good, I can understand easily. Thanks for extra efforts.
Jazak Allahu khairan. Bhot hi mufeed maloomat apne faraham ki hai. Allah Ta’ala hame TAJWEED ke sath Quran Padhne wala banade.
Aameen
Masha Allah, keep it on because Awam-un-naas aren’t aware of such type of knowledge.