Allah Ki Qudrat

ALLAH KI QUDRAT Allah Ta’ala ne is kainat ko lafz “كُنْ” ke naam se takhliq kiya hai. Jab Allah Ta’ala kisi cheez ko paida karna chahta hai to Allah Ta’ala “كُنْ” ka lafz kehta hai. Take wo cheez muqarara waqt par wajood me aaye. كُنْ ka matlab banna hai. Allah ne is kainat ko 6…

allah ki qudrat

ALLAH KI QUDRAT

Allah Ta’ala ne is kainat ko lafz “كُنْ” ke naam se takhliq kiya hai. Jab Allah Ta’ala kisi cheez ko paida karna chahta hai to Allah Ta’ala “كُنْ” ka lafz kehta hai. Take wo cheez muqarara waqt par wajood me aaye. كُنْ ka matlab banna hai.

Allah ne is kainat ko 6 dino me banaya. Zameen 2 din me, Zameen se mutaliq cheezen 2 din me. jaise pahad, madaniyat, darya aur janglat wagera. Aur Allah ne saat Asman, Chand, Suraj, Sitare aur Sayare 2 din me banaye.

ALLAH KI WAHDANIYAT

Allah ki wahdaniyat aur iski qudrat aur hikmat aur rahmat in logo ke liye jo aqal aur fikr rakhte hai. Insan shu’oor aur aqal me tamam makhluqat se afzal hai. Zameen se Asman tak har cheez par Allah ka hukm hai. Allah ki hukumat hamesha rahegi, kabhi khatam nahi hogi.

Allah ne insan ko achhe sanche me banaya. Phir mizaaj ko motadil kya. Har aik ka chehra mukhtalif hai. Har aik ki shakal aur rang mukhtalif hai. Kashtiya aur jahaz bazahir insan ke banaye hue hai. Lekin insan ko Allah ne banaya hai. Allah ne wo quwate aur samajh diya jisse jahaz bante hai.

ALLAH KI TAREEF

Shuru se akhir tak tamam tareefe Allah keliye hai aur hongi. Kyunke wo tamam nemato aur har cheez ka Khaliq aur ata karne wala hai. Chahe barah rast ya bilwasta diya jaye. Jis tarah garmi ya roshni Suraj ki wajah se hoti hai. Tamam makhluq Allah ki mohtaj hai. Allah Ta’ala har qism ki zaruriyat ka Malik hai. Aur duniya ki koi cheez Allah ke ikhtiyar se bahar nahi hai.

Allah Ta’ala ne zameen ko itna wasee aur mazboot banaya aur ise pani par phaila diya. Zameen se paida hone wali tamam cheezen Allah Ta’ala ne nikali hai. Shuru me zameen hilrahi thi. Allah Ta’ala ne pahad banaya aur iski larzish dur ki. Allah din raat badalta hai. Aur inhe chota aur bada banata hai. Allah ne sato Asmano ko bahut mazboot banaya. Itna waqt guzarne ke bawajood Asman me koi shagaf nahi pada. Aur asman ko itna choda aur buland aur bagher sutoon ke banaya.

ALLAH TA’ALA KI SIFAAT

Is duniya me Allah Ta’ala momin aur kafer dono ko apni be panah Rahmat ke sabab duniya ki niamato se nawazta hai. Allah zameen wo asman ki har cheez ko janta hai. Khah wo poshida ho ya khula, isi tarah wo apne tamam bando ki chupi aur khuli baato ko janta hai. Allah Ta’ala hamesha zinda hai aur hamesha rahega. Allah Ta’ala ko na oongh aati hai aur na neend aati hai. Pas zameen wo asman dono Allah ki hifazat me hai.

ILm ki sifat insan me bhi hai. Lekin Allah ke ilm aur insan ke ilm me bada farq hai. Insan aage dekh sakta hai lekin piche nahi, wo roshni me dekh sakta hai lekin andhere me nahi. Insan zameen ke upar to dekh sakta hai lekin zameen ke niche nahi. Wo asman ke niche dekh sakta hai, asman ke upar nahi. Jabke Allah sab kuch ekdam dekh sakta hai.

ALLAH KI TASBIH AUR TAQDIS

Tamam makhluq Allah ki tasbeeh aur taqdees karti hai. Asman, zameen, chand, suraj, sitare, sayare, farishte, insan aur momin jin. Parindey, charne waale janwar aur tamam jandar pode aur janwar sab Allah ki tasbeeh karte hai. Kainat ki har cheez Allah ki tasbih aur taqdis Karti hai. Agarche insan is tasbih aur taqdis ko na sun sakta hai aur na samajh sakta hai.

Allah ki tasbih aur taqdis

For English Click here

Similar Posts

One Comment

  1. سبحان الله، الحمدلله الذي بنعمته تتم الصالحات، يا ربي لك الحمد كما ينبغي لجلال وجهك وعظيم سلطانك، الحمدلله على نعمة الاسلام والحمد لله الذي ثبتناعلى الصراط المستقيم……. شكرا يا ربي شكرا، شكرا يا ربي على كل شيء، اللهم صل وسلم
    . على حبيبنا وخيرالخلق محمد وعلى اله وصحبه وسلم

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *