Hazrat Salman Farsi (RZA) Ka Qubool-E-Islam

Hazrat Salman farsi (RZA) ne deen ki talash me bahut taklife bardasht ki. Kayi mumalik me gaye. Salman farsi raziyallahu anhu ki umar bahut zyada hai, kisi ne kaha hai 350 saal. Salman farsi (RZA) ne apne Iman lane ka qissa sunaya. Mai soba Asfahan ke aik muqam ka rehne wala hu. Mere walid is…

hazrat salman farsi rza ka qubool e islam

Hazrat Salman farsi (RZA) ne deen ki talash me bahut taklife bardasht ki. Kayi mumalik me gaye. Salman farsi raziyallahu anhu ki umar bahut zyada hai, kisi ne kaha hai 350 saal. Salman farsi (RZA) ne apne Iman lane ka qissa sunaya. Mai soba Asfahan ke aik muqam ka rehne wala hu. Mere walid is jagah ke sardar the, aur mujhe bahut chahte the. Mere mazhab me aag ki puja kijati thi. Mai ne apne qadim mazhab me itni mehnat ki ke mai iska muhafiz ban gaya.

ESSAIYO SE MULAQAT

Mere walid ne aik bar mujhe mere dada ke pass bheja tha. Raste me, mai aik Christian Church ke pass se guzra. Mai waha sair keliye gaya, inki ibadat dekhkar mujhe accha laga. Aur mujhe ye deen pasand aane laga aur mai sham tak waha raha. Jab inse pucha gaya ke is mazhab ka markaz kaha hai to unho ne kaha ke mulk Shaam me hai. Raat ko ghar wapas aaya to ghar walo ne pucha sara din kaha guzara? Mai ne qissa sunaya, baap ne kaha ke deen accha nahi hai. Tumhara aur tumhare buzurgo ka deen behtar hai. Mai ne kaha nahi wo mazhab behtar hai. Walid sahab ne mujh par shak Kiya ke mai kahi bhi jaunga to mujhe ghar me qaid kar diya gaya.

SHAAM KA SAFAR

Mai ne un Essaiyo ko paigham bheja ke mujhe bataye ke Shaam ke tajir jo aksar aate the. Kuch tajir aaye aur in Essaiyo ne mujhe itla di. Jab wo tajir wapas jane lage to mai bhaga aur in ke sath shaam chala gaya. Waha pahuch kar tehqiq ki ke is deen me sab se zyada maher kon hai? Logo ne kaha ke church me aik shakhs hai, mai is ke pass gaya. Aur isse kaha ke mai tumhare deen me dakhil hona chahta hu. Aur mai aap ki khidmat me hazir hona chahta hu. Wo maan gaya aur mai uske sath rehne laga. Lekin wo achcha admi nahi tha. Wo logo ko sadqa karne ki targhib deta aur jo kuch jama hota use apne khazane me rakhta. Wo margaya aur uski jagah aik aur shakhs aaya jo usse behtar tha aur mai uske sath rehne laga.

MOSUL ME

Akhir kar wo bhi marne laga to mai ne usse kaha ke wo mujhe kisi ke sath rehne ki wasiyat karde. Unho ne kaha ke aik shakhs mosul me rehta hai, aap uske pass jayen. Mai uski mout ke baad mosul chala gaya. Aur us shakhs ko apni kahani sunayi, us ne mujhe rakha. Wo behtareen admi tha. Akhir wo bhi marne laga to mai ne usse puchha ke ab kahan jaun?

NUSAYBIN ME

Farmaya: Nusaybin me fulaa ke pass jao. Mai iske pass gaya. Use apni kahani sunayi, isne apne sath rakha. Wo bhi aik achcha admi tha. Jab unki wafat ka waqt aaya to mai ne pucha ke ab kahan jaun?

GHAMORIYA ME

Isne Kaha ke Ghamoriya me aik admi ke pass jao. Mai waha gaya aur usi tarah uske sath raha. Aur waha kuch paise kamai, jis me se mai ne kuch gaaye aur bakriya paali. Jab inki mout ka waqt qarib aaya to mai ne pucha ke ab kahan jaun?

MAKKAH KA SAFAR

Isne kaha ke ab ham jaisa koi nahi hai. Akhri Nabi ki paidaish ka waqt qarib hai, jo deen Ibrahim ki pairavi karenge. Arab me paida honge. Inki hijrat ka muqam wo mulk hai jaha khajur ki paidawar bahut hoti hai. Wo tohfa qubool karenge, sadqa nahi. Inke dono kandho ke darmiyan Mohre Nabuwat hogi, ye unki alamat hai. Agar hosake to is mulk tak pahunch jayen.

Inki wafat ke baad kuch tajir waha se guzre. Mai ne unse kaha ke agar aap mujhe apne sath arab le jayen to badle me ye gaaye aur bakriya aap ki hai. Unhone qubool kya. Aur mujhe Makkah le aaye. Inhe gaaye aur bakriya di. Lekin unhone mujhe Makkah me gulam kehkar mujh par zulm kya aur mujhe bech diya. Aik Yahudi mujhe kharid kar apne sath Madina le aaya. Mai ne Madinah ko dekhte hi is jagah ko pehchan liya aur wahi rehta raha.

MUHAMMAD (S.A.W) SE MULAQAT

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Makkah se hijrat karke Madina tashreef laye. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki khabar sunkar mai ne jo kuch mere pass tha wo le liya. Aur paish Kiya. Aur kaha ke ye sadqa keliye hai. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne ise nahi khaya. Sahaba (RZA) ko khane ko kaha. Mai ne dil me kaha, aik nishani sach hui hai. Dusri bar mai ne khajur aur khana paish kiya. Aur kaha ke ye tohfa hai. Is me se Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne khaya. Mai ne dil me kaha ye dusri nishani bhi puri hogayi.

Aik dafa mai Muhammad ke pass aaya aur aap ke pichhe chalne laga. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne samajh liya aur apni Mohre Nabuwat dikha di. Mai mohre Nabuwat dekh kar ro pada. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aage aao. Mai ne aage akar sara waqia sunaya aur mai Musalman hogaya. Salman raziyallahu anhu is waqt yahudi ke ghulam the Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne inko kharid kar azad kardiya.

For English Click here

Similar Posts

  • Lailatul Qadr

    One of the nights of Ramadan is called Lailatul Qadr. Which is a very blessed night. In the Holy Qur’an, it has been declared better than a thousand months. A thousand months are 83 years and 4 months. Prophet Muhammad (PBUH) saw that the ages of the first nations were very long. And the age…

  • Quran

    The Holy Quran is like such infinite sea which has no shore and no limit.This is the reason why this Ummah does not need any other Prophet after Prophet Muhammad. For the first nations, one or the other Prophet came in every age and guided them through their books. The responsibility of protecting the Torah…

  • Dhikr Of Allah 

    Importance Of Dhikr Allah Almighty has given man wisdom and understanding. Placed all the organs and powers like hands and feet in a special way. Gave faith and disbelief and understanding of good and evil. Allah Almighty has collected external and internal qualities in man. If a person wants to, he will progress in goodness…

  • Salat 

    Salat is the greatest thing in physical and spiritual worship. They stand in front of Allah in salat. And to attend the salat at the door of Allah with dignity. Allah Almighty does not see our standing, sitting, bowing and prostration. He see our hearts. How far in the color of sincerity and humility in…

  • Ramzan

    3 ADMIYO KI DUA RAD NAHI HOTI Nabi kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke 3 admiyo ki Dua rad nahi hoti: Aik Rozedar ki iftar ke waqt Dua, dusri adil badsha ki Dua aur tisri mazlum ki Dua jise Allah Ta’ala badalo se upar utha dete hai aur is ke liye Asman ke darwaze…

  • Shab Qadar

    Ramzan ki raato me se aik raat ko Shabe Qadar kehte hai. Jo ke bahut barkat raat hai. Qur’an majeed me ise hazaro mahino se afzal qarar diya gaya hai. Hazar mahine 83 saal 4 mahine hote hai. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne dekha ke pehli Ummato ki umre bahut lambi thi. Aur Rasoolullah sallallahu…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *