Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam

Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: jab wo gunah Adam alaihis salam se hua tha. Jis ki wajah se wo Jannat se is duniya me bheje gaye. Chunanche Hazrat Adam alaihis salam har waqt rote rehte the aur Dua aur Istighfar karte the. Aik bar Asman ki taraf muta wajah ho kar arz kiya. Aye…

muhammad sallallahu alaihi wasallam

Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: jab wo gunah Adam alaihis salam se hua tha. Jis ki wajah se wo Jannat se is duniya me bheje gaye. Chunanche Hazrat Adam alaihis salam har waqt rote rehte the aur Dua aur Istighfar karte the. Aik bar Asman ki taraf muta wajah ho kar arz kiya. Aye Allah mai tujh se Muhammad ke zariye bakhshish chahta hu. Wahi nazil hui ke Muhammad sallallahu alaihi wasallam koun hai jis ke zariye aap ne maafi mangi. Arz kiya ke jab Aap ne mujhe paida kiya tha. To mai ne takht par likha dekha.:

1st Kalima

To mai samajh gaya ke Muhammad sallallahu alaihi wasallam se buland koi nahi. Jis ka naam Aap ne apne naam ke sath rakha hai. Wahi nazil hui ke wo Khatam- ul-Nabieen hai. Aap ki aulad me se hai. Lekin agar wo na hote to aap paida na hote.

Makkah Me

Nabuwat milne ke baad Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne Makkah Mukarrama me 9 saal tabligh ki. Aur qaum ki rehnumayi aur islah ki koshish karte rahe. Lekin siwai aik chote se guruh ke jo Musalman the. Aur siwai chand logo ke jo musalman na hone ke bauajood aap ki madad karte the. Aksar kuffar Makkah aap ko aur aap ke sathiyo ko har tarah ki taklif pahunch cha te the. Wo mazaq karte the aur jo kuch wo karsakte the karte the. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke chacha Abu taleb bhi in nek dil logo me se the. Jo musalman na hone ke bawajood Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki har tarah se madad kiya karte the. Daswe saal jab Abu taleb bhi faut hogaye to kuffar ko har mumkin tariqe se Islam ko rokne aur Musalmano ko taklif pahunchcha ne ka moqa mila.

Muhammad (SAW) Ka Taif Ka Safar

Muhammad sallallahu alaihi wasallam is khayal se Taif tashreef laye ke waha qabila thaqif ka aik bada guruh mojud hai. Agar wo qabila musalman hojaye to Musalmano ko in musibato se najat mil jaye gi aur Deen ke phailao ki bunyad pad jayegi. Waha pahuch kar qabile ke teeno sardaro se baat ki, jo bade martabe me shumar hote the, aur inhe Allah ke Deen ki taraf bulaya. Lekin in logo ne deen ki baat manne ke bajaye saf jawab dediya. Aur intehai badtameezi aur ghair akhlaqi sulook kya. In logo ne Aap ko yaha rehne ki ijazat bhi nahi di. Jin logo se Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne bedur sardar baat ki thi ke wo shaista honge aur shaishta guftagu karenge.

Sardaro Ne Kaha

In me se aik ne kaha ke Allah ne aap ko Nabi banakar bheja hai. Dusre ne kaha ke Allah Ta’ala aap ke alawa kisi ko nahi pasakta jise wo rasool banakar bhejta. Teesre ne kaha, mai tum se baat nahi karna chahta. Kyunke agar aap waqie nabi hai jaisa ke dawa kya gya hai. Lihaza aap jo kehte hai isse inkar karna musibat hai. Aur agar ye jhut hai to mai aise shakhs se baat nahi karna chahta. Iske baad in logo se mayus hokar Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne dusre logo se baat karne ka faisla kiya.

Lekin kisi ne qubool nahi kya. Balke unhone qubool karne ke bajaye kaha ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam hamare shaher se foran nikal jayen. Aur jaha chahe chale jayen. Jab Rasoolull sallallahu alaihi wasallam in se bilkul mayus hogaye to aap sallallahu alaihi wasallam wapas laut ne lage. To unlogo ne shaher ke ladko ko pichhe kardiya. Mazaq udane keliye, taliya bajaye, Aap par patthar phenke. Yaha tak ke khoon behne se Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke do jute rangin hogaye. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam isi halat me wapas aaye. Raste me aik jagah jab Aap sallallahu alaihi wasallam in zalimo se mutmain hogaye to Aap sallallahu alaihi wasallam ne ye Dua farmayi.

Muhammad (SAW) Ne Dua Ki

Dua Ka Tarjuma

Aye Allah Tujhi se shikayat karta hu mai apni kamzori aur bekasi ki aur logo me zillat wo ruswai ki. Aye Arhamur Rahimin Tu hi zoefa ka Rab hai aur Tu hi mera Parwardigar hai. Tu mujhe kiske hawale karta hai. Kisi ajnabi begana ke jo mujhe dekh kar tursh ru hota hai, aur mun chudata hai ya ke kisi dushman ke jis ko Tune mujh par qabu dediya.

Aye Allah agar Tu mujh se naraaz nahi hai to mujhe kisi ki bhi parwa nahi hai. Teri hifazat mujhe kafi hai. Mai Tere Chehre ke us Noor ke tufail jisse tamam andheriya roshan hogayi aur jisse duniya aur akhirat ke sare kaam durust hojate hai is baat se panah mangta hu ke mujh par Tera ghussa hoya Tu mujh se naraaz ho, Teri narazgi ka is waqt tak dur karna zaruri hai. Jab tak Tu Raazi na ho na Tere siwa koi Taqat hai na Quwat.

Pahado Ka Farishta

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *