Islam Ka Pehla Buniyaadi Rukn
KALIMA SHAHADAT Ash’ hadu an la ilaha illa Allah hu wa Ash’ hadu anna Muhammadan abduhu wa rasooluhu. Ye kalima Islam ka darwaza aur Iman ki jad aur Islam ke 5 Suttono me se aik hai. Ise qubool karne aur yaqeen ke sath padhne se kafir wo mushrik bhi Momin aur Musalman ho jata hai….
KALIMA SHAHADAT
Ash’ hadu an la ilaha illa Allah hu wa Ash’ hadu anna Muhammadan abduhu wa rasooluhu. Ye kalima Islam ka darwaza aur Iman ki jad aur Islam ke 5 Suttono me se aik hai. Ise qubool karne aur yaqeen ke sath padhne se kafir wo mushrik bhi Momin aur Musalman ho jata hai. Aur najat ka mustahiq hai.
13 saal tak Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne Makkah Mukarrama me mushrikin ko Kalima ki Dawat di. Allah ke siwa koi Ibadat ke la’iq nahi. Sirf Allah Ta’ala hi ibadat aur bandagi ke la’iq hai Kyun ke wo hi hamara Khaliq aur Malik hai. Wo parvarish karne wala aur faraham karne wala hai.
Wo hi maarta aur zinda karta hai. Bimari aur sahet, nafa wa nuqsan sirf Us ke ikhtiyar me hai. Aur Us ke alawa Zameen wo Asman ki tamam makhluqat khah insan ho ya farishta, sab Uske bande aur Us ki makhluq hai.
IMAN
Iman Allah Rabbul izzat ki hidayat wo rahnumai aur Allah ki tarbiyat aur inamat ko dekh kar hasil hota hai.
Allah Rabbul izzat par bharosa rakhe. Sirf dalil par bharosa na kare. Allah ki Qudrat in asbab ki paband nahi hai. Asbab bhi Allah ki marzi ke ta’be hai. Allah ke ha har cheez ka andaza hai. Iske mutabiq zahir hota hai. Is wajah se, agar kuch hasil karne me takhir hoti hai to ghabrana nahi chahiye.
MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM
Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hai. Allah ne Aap (PBUH) ko duniya ki rehnumayi ke liye bheja hai. Aur Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne kya kaha aur jo khabre di. Wo sab durust hai.
Farishte ki mojudgi, Qiyamat ka aana, Qiyamat ke baad murdo ka ji uthna, aur apne Amaal ke mutabiq Jannat me jaye ya jahannum me jaye. Wo baate jo Nabi sallallahu alaihi wasallam ne duniya ko batayi. Wo Allah ki taraf se khas ilm hasil kar ke bataya jata hai. Aur isi tarah Aap Sallallahu alaihi wasallam ne logo ki rehnumayi farmayi.
Aur jitne bhi ehkam diye gaye hai wo darhaqiqat Allah ki hidayaat aur ehkam e Ilahi hai. Jo Aap par nazil hui. Wahi bhejne wale darasal Allah Ta’ala hai. Lekin jis ke zariye wo Wahi Aap tak pahunchti hai.
Aur jo bazahir Aap ko sikhata hai. Wo bahut mazboot taqato ke sath aik taqatwar Farishta hai. Jinhe Jibril amin kehte hai. Yane wahi bhejne wale Allah hai aur lane wala farishta hai.
KAINAT KI TAQLEEQ
Sato asmano ke upar Allah ka Arsh hai. Aur Arsh ke upar Allah ki Kursi hai. Aur ye Kursi asmano aur zameen se badi hai.
Ye Kainat khud se wujud me nahi ayi. Kyunke jo cheez khud wujud me ati hai iski koi tarteeb aur tanzeem nahi hoti. Jab ke is kainat ke har zarre me tarteeb aur tanzeem hai.
ALLAH TA’ALA KI MAKHLOOQ
Zameen, asman, suraj, chand, sitare aur sayare. Scientist ke mutabiq ye sab arbo salo se apne apne daero me khila me teer rahe hai. Aur aaj tak in me se koi bhi apne daire se aik inch nahi hata.
Kainat ke intezam keliye Allah Ta’ala ke ehkamat asman wo zameen par nazil hote rehte hai. Asmano aur zameen ki takhleeq aur in me intezami ehkam jari karne ka maqsad ye hai ke Allah Ta’ala ki Sifat ilm wo Qudrat ka izhar ho. Suraj ki harkat aur rasta tey hai. Is par jata hai. Isse aik inch ya aik minute bhi aage nahi badh sakta. Ye Qiyamat tak isi tarah jari rahega.
Hazrat Adam Alaihis salam se lekar Muhammad sallallahu alaihi wasallam tak be shumar Anbiya is duniya me aye. Aur sab ne aik hi Deen Islam ki tableegh ki. Akhar kar Nabuwat ka silsila Muhammad sallallahu alaihi wasallam par khatam hua. Aur is kam ki zimmedari Ummate Muhammadiyah ko di gayi. Aur ye Deen Muhammad sallallahu alaihi wasallam par mukammal hua.
For English click here
ALLAH HU AKBAR …. May ALLAH (SWT) Guide us to increase our Imaan… Ameen.