Shab Qadar
Ramzan ki raato me se aik raat ko Shabe Qadar kehte hai. Jo ke bahut barkat raat hai. Qur’an majeed me ise hazaro mahino se afzal qarar diya gaya hai. Hazar mahine 83 saal 4 mahine hote hai. Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne dekha ke pehli Ummato ki umre bahut lambi thi. Aur Rasoolullah sallallahu…
Ramzan ki raato me se aik raat ko Shabe Qadar kehte hai. Jo ke bahut barkat raat hai. Qur’an majeed me ise hazaro mahino se afzal qarar diya gaya hai. Hazar mahine 83 saal 4 mahine hote hai.
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne dekha ke pehli Ummato ki umre bahut lambi thi. Aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki ummat ki umar bahut kam hai. Agar wo nekiyo me unki barabari karna chahe to ye mumkin nahi. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam isse ghamgin hue. Iske badle me Allah Ta’ala ne ye raat ata farmayi.
Aik Hadees me hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Bani Israel ke 4 logo ka zikar farmaya.Hazrat Ayub Alaihis salam, Hazrat Zakariya Alaihis salam, Hazrat Hazqil Alaihis salam, Hazrat Yusha Alaihis salam 80 saal tak Allah ki Ibadat me mashghul rahe. Aur unho ne Allah ki zarra barabar bhi nafarmani nahi ki.
Sahaba Karam Raziyallahu anhum ko is par taajub hua to Jibriel Alaihis salam khidmat me hazir hue. Aur Surah Al- Qadr ki Tilawat ki.
SHABE QADAR KI NISHANI
Shabe Qadar me Jibriel Alaihis salam farishto ke sath nazil hote hai. Aur Jibriel alaihis salam jis ko bhi zikr, namaz aur tilawat me dekhte hai is keliye rahmat ki dua karte hai.
Is raat ki nishani ya ye hai ke raat khuli aur Roshan hoti hai. Saaf aur shafaf, na ziyada gram na bahut thanda, balke motadil, goya Chand is me roshni ki kasrat ki wajeh se khula hua hai. Is ki nishaniyo me se ye hai ke agli Subah Suraj bagher shuao ke tulu hota hai. Jaise Chaudh wi raat ka chand. Shabe Qadar me har cheez sajdah karte hai. Darakht bhi jhuk jate hai.
SALAT TASBEEH
Nabi Akram Sallallahu alaihi wasallam ne aik khas Namaz ki targhib di jise Salat Tasbeeh kaha jata hai. Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ke Allah Ta’ala Salat tasbih padhne wale ke tamam gunah bakhsh dete hai.
Agar mumkin ho to ye namaz rozana 1 bar padhe. agar ye mumkin na ho to har Juma ko 1 martaba ye Namaz padhe. Agar ye mumkin na ho to har mahine me 1 bar padhe. agar nahi to sal me 1 bar padhe warna zindagi me 1 bar padhe.
SALAT TASBEEH NAMAZ
4 rakat Salat tasbeeh sunnat hai. 4 rakate aik sath padhi jasakti hai ya 2 rakate alag alag. Hafta ya mahine me 1 bar padhna Sunnat hai.
Is ka tariqa ye hai ke pehle Salatut tasbeeh ki niyat ki jai. Aur Ruku se pehle har rakat me Surah Fatiha aur koi dusri Surat padhne ke baad. Teesra Kalma سُبْحَانَ اللهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ 15 martaba padhe.
Ruku me سُبْحَنَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِه padhne ke baad 10 martaba. Ruku se uth kar رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ padhne ke baad yehi Kalma 10 martaba padhe. Sajde me سُبْحَنَ رَبِّيَ الْأَعْلَى وَبِحَمْدِه padhne ke baad 10 martaba padhe. Jalse ki dua ke baad 10 martaba. Dusre Sajde me Tasbih ke baad 10 martaba.
Aur dusre Sajde se uthe, phir baith kar khade hone se pehle 10 martaba padhe. Phir Allahu Akbar kahe bagher khade hojai. Kul tadad 75 hogi. Har rakat me isi tarah padhe. Attahiyat se pehle dusri aur chauthi rakat ke baad 10 martaba padhe. Phir Attahiyat padhe aur Salam phere.
WITR KI NAMAZ KA TARIKA
Witr ki Namaz Sunnat mu’akada hai. Isha ki Namaz ke baad se fajr tak ka waqt hai. Is ki kam az kam aik rakat aur zyada se zyada 11 rakaat hai. Witr ki namaz kam az kam 3 rakat padhe.
Pehli rakat me Surah a’la aur dusri rakat me Surah Kafiroon aur akhri rakat me 3 Qul Surah Ikhlas Surah Falaq aur Surah Naas padhna Sunnat hai.Aur Ramzan Almubarak ki 16 raat se akhri raat tak Witr ki akhri rakat ke e’tedal me رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ Akhir tak padh kar dua e qunoot padhna Sunnat hai.
DUA E QUNOOT
Phir ye dua padhe.
QUNOOT WITR
For English click here