Salatul Hajat Aur Istikhara Ka Tariqa
SALATUL HAJAT KI NAMAZ Jab koi zarurat ya bimari hoti hai. Dini ho ya duniyawi, Allah Ta’ala se mutaliq ho ya kisi aur se. Ise achchi tarah wuzu karna chahiye. Aur Salatul hajat ki niyat se 2 rakat nafl Namaz padhe. Phir salam pherne ke baad Allah Ta’ala ki Hamd-o-Sana padhe. Aur Durood pak padhne…
SALATUL HAJAT KI NAMAZ
Jab koi zarurat ya bimari hoti hai. Dini ho ya duniyawi, Allah Ta’ala se mutaliq ho ya kisi aur se. Ise achchi tarah wuzu karna chahiye. Aur Salatul hajat ki niyat se 2 rakat nafl Namaz padhe.
Phir salam pherne ke baad Allah Ta’ala ki Hamd-o-Sana padhe. Aur Durood pak padhne ke baad ye dua padhe. Inshaallah iski hajat puri hogi ya koi pareshani dur hogi.
SALATUL HAJAT KI DUA
Translitretion
La ilaha illallahul Halimul Karim Subhanallahi Rabbil Arshil Azeem, Alhamdulillahi Rabbil Alamin, as’aluka mujibati Rahmatika, wa aza’ima maghfiratika, walghanimata min kulli ismin, la tada li zanban illa ghafartahu, wala hamman illa farrajtahu, wala hajatan hiya laka rizan illa qazaitaha, Ya Arhamar Rahimin.
DUA
Dua aik mazboot qila hai. dua insan ka sahara hai. Aur ye be bas aur lachar insan ki taklif ka ilaj hai. Dua jismani aur ruhani bimariyo ka ilaj hai. Ye momin ka hathyar hai. Dua Allah Ta’ala ke khazano se lene ki kunji hai.
Taqdir bhi dua se badal jati hai. Dua aik Ibadat hai jis ke qubul karne ka Allah ne wada kiya hai. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: “ياذَالجلالِ وَالْاِكْرَام” ke zariye Allah Ta’ala se ilteja aur dua karte raho.
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Taqdir ke faisle ko Dua ke siwa koi chiz tal nahi sakti. Aur naiki ke siwa koi chiz umar nahi badha sakti.
Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Allah Ta’ala farmate hai: Mai apne bande ke sath aisa hi muamila karta hu. Jaisa ke wo mere sath sonchita hai. Aur jab bhi wo mujh se dua karta hai Mai uske sath hota hu.
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Raat ke teesre hisse me Allah Ta’ala sab se pehle Asman ki taraf nuzul farmate hai. Aur Allah Ta’ala farmate hai: kon hai jo mujh se dua kare ke mai iski dua qubool karu? Kon hai jo mujh se mange ke mai ata karu?
Kon hai jo mujh se maafi mange aur Mai ise bakhsh du? Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: afat se bachne ki koi surat nahi. Allah Ta’ala se mangne se nazil hone wali aafat wo musibat se faida hota hai. Aur is afat me bhi jo abhi nazil nahi hui.
DUROOD PAK
Hazrat Umar Raziyallahu anhu se riwayat hai. Dua Asman wo Zameen ke darmiyan ruk jati hai. Dua is waqt tak nahi badh sakti jab tak ke Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam par Durood na bheje.
Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: wo log Qayamat ke din mujh se zyada qarib honge jo mujh par Durood bhejenge.
Istighfar
Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ke jo shakhs Istighfar karna zaruri samjhe. ( Yane Allah Ta’ala se apne gunaho ki maafi mangta rahe). To Allah is ke liye mushkil se nikalne ka rasta bana dega. Aur is ki tamam pareshaniyo ko dur karega aur ise itminan bakhshe ga. Aur ise is tarah rizq dega jis ka wo tasaur bhi nahi kar sakta.
SAYED UL ASTAGHFAR
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. Ke jis bande ne din ke kisi hisse me Allah Ta’ala ki Bargah me ikhlas aur dil ke yaqin ke sath ye Tilawat ki. ( Yane in alfaz ke sath Astaghfar kiya).
Aur agar wo is din raat hone se pehle margaya to bilashuba Jannat me jaye ga. aur isi tarah agar koi raat ke kisi hisse me Allah Ta’ala ke Huzoor Dua kare. Aur agar wo isi raat me tulu fajar se pehle margaya to wo yaqinan Jannat me jaye ga.
SAYED UL ASTAGHFAR DUA
SALATUL ISTIKHARA
Jab koi ahem kaam karne ka irada ho۔ Isliye Allah Ta’ala ki madad hasil karne ke liye Istikhara ki niyat se 2 rakat namaz padhe. Aur salam ke baad ye Dua padhe. Aur Namaz ke baad jis taraf iska dil ma’il ho kaam kare. Agar 1 bar padhne ke baad samajh na aaye to bar bar padhe.